my quran journey

01 AL-FATIHAH

Ayyat No. Arabic Urdu
Fitrat-E-Insaani Ki Tarjumaan بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ ALLAH ke Naam Se Jo Bohat Maherban Bohat Raham kerne Wala
ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَـٰلَمِينَ Kul Shukar Aur kul Sanaa Allah kay Liye Hai Jo Tamam Jahanon ka Parwardigar Aur Malik Hai.
ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ Bohat Reham Farmany Wala,Nihayat Meharban Hai
مَـٰلِكِ يَوْمِ ٱلدِّينِ Jaza Aur Saza kai Din ka Malik-O-Mukhtar Hai 
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ Hum Sirf Teri Hi Bandagi Kertay Hain Aur kertay Rahain Gai Aur Hum Sirf Tujh He Sai Madad Chahtay Hain Aur Chahtay Rahain Gai 
ٱهْدِنَا ٱلصِّرَٰطَ ٱلْمُسْتَقِيمَ (Ay Rab hamaray) Hamein Hidayat Bakhsh Seedhi Rah ki
صِرَٰطَ ٱلَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ ٱلْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا ٱلضَّآلِّينَ Rah Un Logo ki Jin Pe Tera Inaam Hua, Jo Na To Maghdob Hoye Aur Na Gumrah
×